Aaj kuchch hum bhi udaas hain
aur kuchch tum bhi ho gamgeen
lekin yeh ehsaas bhi hai
ki jahan bhi ho ,mere saathi ,
wahan pahuch hi jaati hai
meri thodi si
dastak.
utha kar tumhe neend se
jagati to hogi ,
yeh dastak tumhe kuchch
batati to hogi,
hila kar mere ek dupatte ka kona,
hawa si woh tumhe
sahlati to hogi..
phir yaad aata to hoga,
tumhe woh pehla pyaar,
woh bachpan ki yaadein,
woh zara sa ikraar..
kabhi jaate hue,
jo mud ke dekhte the tum.
to main bhi wahin
thi parde ke peechche
chupi gumsum.
tumhaara woh peechche mudna
woh mujhe doondhna
aata to hoga kabhi yaad.
or bas ek baar woh aakhiri jhalak ka
rehta tha dono ko intezaar.
Batati ho hogi woh dastak tumhe
mere dil ka yeh bechain haal.
kai saal guzare
kai sadiyan gayi
saath chhoota bhi
par nahi bhi .
yeh kaisi hai dastak aaj phir se dil main
ki aaina maine dekha
aur kuchch tum bhi ho gamgeen
lekin yeh ehsaas bhi hai
ki jahan bhi ho ,mere saathi ,
wahan pahuch hi jaati hai
meri thodi si
dastak.
utha kar tumhe neend se
jagati to hogi ,
yeh dastak tumhe kuchch
batati to hogi,
hila kar mere ek dupatte ka kona,
hawa si woh tumhe
sahlati to hogi..
phir yaad aata to hoga,
tumhe woh pehla pyaar,
woh bachpan ki yaadein,
woh zara sa ikraar..
kabhi jaate hue,
jo mud ke dekhte the tum.
to main bhi wahin
thi parde ke peechche
chupi gumsum.
tumhaara woh peechche mudna
woh mujhe doondhna
aata to hoga kabhi yaad.
or bas ek baar woh aakhiri jhalak ka
rehta tha dono ko intezaar.
Batati ho hogi woh dastak tumhe
mere dil ka yeh bechain haal.
kai saal guzare
kai sadiyan gayi
saath chhoota bhi
par nahi bhi .
yeh kaisi hai dastak aaj phir se dil main
ki aaina maine dekha
or nazar aaye tum hi..